Wednesday 25 September 2013

✦ REVIVE A SUNNAH ✦


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "REMOVING HARM FROM THE ROAD" ✦

Just remember this beautiful sunnah when you see a harmful thing on the road/path !!! Let us revive the Sunnah in every aspect of our life !!! Get reward even from the small thing...

It has been Narrated on the authority of Abu Huraira Radi Allahu Anhu that the, Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “While a man walks along a path, finds a thorny twig lying on the way and puts it aside, Allah would appreciate it and forgive him.”

[Sahih Muslim :: Book 33 :: Hadith 235]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Aik Shaks ja  raha tha us ne Raah mein aik Kaante ki Daali daikhi wo hatadi, Allah ne uska Badla diya aur us ko baksh diya.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadith 4940]




✦.........♥ Jadeed Science Qur'an ki Tasdeeq karte Hue ♥.........✦

⇨ "And whomsoever Allah wills to guide, He opens his breast to Islam, and whomsoever He wills to send astray, He makes his breast closed and constricted, as if he is climbing up to the sky". (Qur'an 6:125)

⇨ "Jis shaks ko Allah hidayat  dene ka Iradah farmale, us ka Sina Islam k liye khol deta hai, Aur jise wo Gumrah karna Chahta hai, Us k liye sine ko tang aur itna Zyada tang kardeta hai k Goya use Aasman par chadhna pad raha hai”.(Qur'an 6:125)

✿ Science dano ka kehna hai k Aasman ki taraf jate hue Oxygen ki kami ki wajah se dum ghutne lagta hai aur sans lene mein shadeed dushwari hoti hai, isiliye shadeed ghutan se bachne k liye hawayi Jahazon mein Masnu’i Oxygen ka intezaam hota hai.

●◗► 1400 saal Qabl Qur'an Majeed ne Aasman par chadhte hue sina tang aur dum ghutne ki science haqiqat ko bayan kardiya tha, ye is baat ka wazeh saboot hai k ye Qur'an kisi Insan ka nahi balke Allah Rabbul Aalameen ka Kalam hai.

◈ Tasdeeq-Sach karna, Sach hone ki Taaid, Saboot.


★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★




♥ Alhamdulillah! Mujhe faqr hai k main Aourat zaat k Mutalliq kisi bhi Qism k Tahqeer Aamaiz Nazaryaat Nahi Rakhta ♥

(Tahqeer-Haqeer Samajhna, Nafrat, Hiqarat, Beqadri, Zillat, Behurmati).

✿ Us ne mujhe zindagi di hai aur main us se zindah rehne ka haq nahi cheen sakta, Wo mera libas hai lihaza main use Tang-e-Insaniyat hone ka tana nahi de sakta.

✿ Us ne meri najasaten dhokar mujhe paak saaf rakha lihaza main us Najas Makhlooq qarar nahi de sakta, Us ne mujhe ungli pakad kar zameen par chalne ka tariqa sikhaya, Lihaza main us k pao se zameen nahi kheench sakta, Us ne meri tarbiyat kar k mujhe insan banaya lihaza main us Naqisul Aql nahi keh sakta.

✿ Us ka Amanat kardah khoon mere ragon mein dodraha hai, lihaza main use shaitan ka darwazah ya lagzish ka mahel nahi keh sakta. Us ne mujhe ghar ki pur Aashayesh o pur sukoon zindagi ata ki hai, lihaza main use fitna o fasad ka jud nahi de sakta.

✿ Us ne mujhe kamil banaya lihaza main use Naqis nahi keh sakta, Us ne apni zinagi ki har sans k sath mujhe apni Duao se Nawaza hai, lihaza main use Hiqarat Aamiz galiyan nahi de sakta.

●◗► Agar main aisa karun to meri Apni hi zaat ka tahqirat aur Nafi hoti hai ♥ Allah ka shukr hai k Main Aourat zaat k Mutalliq har tarah ka Husne Zan Rakhta Hun ♥




●◗► Qaabile Gor! Ye kaisa dor hai Yaha koi apne dukh se itna Dukhi Nahi…! Jitna doosre k sukh se dukhi hai….!

♥ Agar tumne har Haal main khush rehne ka Fun Seekhliya to Yaqinan tumne Dunya k sab se bada Fun Seekhliya ♥




✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Salute the Children who are playing" ✦

Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to some children who were playing: He saluted them.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5183]

Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se Riwayat hain k Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam kuch Ladkon ke paas Tashreef laye jo Khail kood Rahe the Aap ne unhe Salam kiya.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1759]





......................✿....... H A D E E S .......✿......................

It was Narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu that Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Whoever is asked about knowledge that he has and he conceals it, will be bridled on the Day of Resurrection with reins of fire.

[Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Book 1 :: Hadith 266]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis se koi ilm ki baat puchi gayee aur usko Malum hote huye bhi usney chupa di to Qayamat ke din usey Aag ki lagam di Jayegi.

[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Hadith 266]





 ✿● Kya pur kaif sama tha Ramadhan mein, Namazi hogaye the Zyada safen hogayi thin kum. Sama Badal gaya bus Aik shaam mein, Safen hogayi hain Zyada Namazi hogaye hain kum ●✿ :(




✿● Aik Kadwa Sach! Afsos ke ham us Mu'aashre mein zindagi guzaar rahe hain Jahan ham apne Baccho ko subah School k liye to Bila naaga uthate hain Lekin…! Fajar ki Namaz k liye Nahi..Afsos ●✿




●◗► Har Musalman k Dil mein Apne doosre Musalman Bhai k liye Mohabbat ho Jab wo Takleef mein ho to Tum us ki Madad ke liye Tayyar hojao Us k Sath Khandapeshani se Rahe Deen-e-Islam hame yahi Taleem Deta hai k Tum mein Bhaichara, Mohabbat, Ulfat, Khuloos ho..

♥ Gulab ka koi bhi Naam ho us ki Pehchan uski Khusbon se Hoti hai, Isi tarah Insan ka koi bhi Rang, Qabila ya Zaat ho, us ki Pehchan us k Akhlaq se hoti Hai ♥

Narrated `Abdullah bin `Umar Radi Allahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "A Muslim is a brother of another Muslim, so he should not oppress him, nor should he hand him over to an oppressor. Whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will fulfill his needs; whoever brought his (Muslim) brother out of a discomfort, Allah will bring him out of the discomforts of the Day of Resurrection, and whoever screened a Muslim, Allah will screen him on the Day of Resurrection . "

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 622]

Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Aik Musalman Doosre Musalman ka Bhai hai, Ps us par Zulm na kare aur na Zulm hone de, Jo Shaks Apne Bhai ki zarurat poori kare, Allah Tala us ki Zarurat poori karega, Jo shaks kisi Musalman ki Aik Musibat ko door kare, Allah Tala us ki Qayamat ki Musibaton mein se aik Badi musibat ko door Farmayega, Aur jo Shaks kisi Musalman k Aaib ko chupaye Allah Tala Qayamat mein us k Aaib Chupayega.

[Urdu Ref ::  Sahih Bukhari :: Hadith 2442]




  Khush Qismat hoti hai wo Bahen, Jis k Sir par Bhai ka haath hota Hai, Har Pareshaani mein Uske saath hota hai, Ladna Jhagadna Phir Pyaar se manana, Tabhi to is Rishte mein Itna Pyaar hota hai ♥




●◗► Shaik Sa’di Rahmatullahi Alai Farmate hain: Maine Aik Naik shaks ko darya k kinare daikha Jis ko aik Chite ne zakhmi kardiya tha, Aur us ka zakhm kisi dawa se Accha na hota tha. Aur wo arsaye daraz se us Takleef mein mubtela tha.

Lekin! Har waqt Allah ka Shukr Ada karta tha.
Logon ne us se pucha k shukr kis baat ka Ada karte ho..?
Us ne Jawab diya: Is liye ke Musibat mein Mubtela hun, Na k Gunah Mein.

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Are you a Part of GUNAH-E-JARIA?
Song Shared !!! 1 Guhan= 1 song Share

Referal/Friends Continued Song = Countless Sharing Gunah!! (You are not sharing it continuously but your friends are sharing that song to thousands of others) Think , Why are you starting the Chain??? (Stop- Don’t Share)

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Verily, when the slave (of Allah) commits a sin, a block spot appears on his heart. When he refrains from it, seeks forgiveness and repents, his heard is polished clean. But if he returns, it increased until it cover his entire heart. And that is the ‘Ran’ which Allah mentioned: Nay, but on their hearts is the Ran which they used to earn.(Qur'an 83:14)

[Jami Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 44 :: Hadith 3334]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab koi Banda koi Gunah karta hai to us k Dil par Aik siyah Noqta lagadiya jata hai, Phir wo agar use tark karde ya Astaghfar kare aur Toba kare to us ka Dil saaf hojata hai aur Agar dobarah Gunah kare to siyahi badhadi jati hai yaha tak k wo Siyahi us k Dil par cha jati hai, aur Yahi wo ‘Ran’ hai Jis ka zikr Allah Tala ne كَلَّا‌ۖ بَلۡۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِہِم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ  (Hargiz nahi Balke un  k (Bure) kamon se un k Dilon par Zang lag gaya hain. 83:14) Mein kiya hai.

[Urdu Ref :: Jami Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 1258]

Wednesday 18 September 2013

♥ Baat sirf Hamari Soch Ki Hai ♥





✦...............♥  Baat sirf Hamari Soch Ki Hai ♥...............✦

Aik dafa ka zikr hai k Aik Badshah ne aik shaher mein bahot bada Aik talab banwaya, aur poore shaher mein Aailan kardiya k is Talab mein rozana har Aadmi aik Glass doodh dalega, aur phir use Garibon mein banta jayega.

"Raat hui to aik shaks ne apne Ghar walon se kaha: ye Shaher itna bada hai k Agar har koi aik Glass dalne lagjaye to poora talab bhar jayega, Isliye hamare na bharne se kuch nahi hoga”. Isi tarah har ghar mein yahi socha gaya, Agle din subah Jab daikha to Talab bilkul khali tha.

Tab Badshah ne kaha: “Daikha tum logon ne kaise tum logon ki Manfi soch ki wajah se ye talab bilkl khali hai, Agar har koi apni Soch ko Musbat rakhta to ye Talab bhara hua hota, Agar har koi ye Naiki samajh kar aik Glass is talab mein daal deta to ye Talab Garibon ki bhook mita sakta tha”.

●◗► "Agar ham sab bhi Apni Apni soch ko theek karlen to ye Dunya Amn ka Gehwarah ban jaye, har kisi k Dil mein aik Doosre k liye Mohabbat ho, Bus baat sirf hamari soch ki hai".





......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Anas Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith:

1. The one to whom Allah and His Apostle becomes dearer than anything else.
2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake.
3. Who hates to revert to Atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire."

[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 2 :: Hadith 16]


Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya 3 khaslaten (Qualities) Aisi hain k jis mein ye paida ho Jaye usne Imaan ki mithas ko pa liya:

1. Awwal ye ki Allah Tala aur uska Rasool us k Nazdeek sabse zyada Mahboob ban Jaye.
2. Dusre ye k wo kisi Insan se sirf Allah Tala ki Raza k liye Mohabbat kare.
3. Teesre ye k wo kufr mein wapas Lautne ko Aisa bura Jane Jaisa k aag mein Daale Jane ko bura Janta hai.

[Urdu Ref :: Shaih Bukhari :: Hadith 16]




x.. Aourat ke saath zabardasti Badkari (Rape) karney par Saza-e-Maut ..x

Narrated Wa'il ibn Hujr Radi Allahu Anhu: When a woman went out in the time of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) for prayer, a man attacked her and overpowered (raped) her. She shouted and he went off, and when a man came by, she said: That (man) did such and such to me. And when a company of the Emigrants came by, she said: That man did such and such to me. They went and seized the man whom they thought had had intercourse with her and brought him to her.

She said: Yes, this is he. Then they brought him to the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam). When he (the Prophet) was about to pass sentence, the man who (actually) had assaulted her stood up and said: Messenger of Allah, I am the man who did it to her.

He (The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam) said to her: Go away, for Allah has forgiven you. But he told the man some good words (AbuDawud said: meaning the man who was seized), and of the man who had had intercourse with her, he said: Stone him to death.

He also said: He has repented to such an extent that if the people of Medina had repented similarly, it would have been accepted from them.
Abu Dawud said: Asbat bin Nasr has also transmitted it from Simak.

[Sunan Abu Dawood :: Book 39 :: Hadith 4366]

Urdu Translation: Hazrath Wail ibn Hujr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamaney mein Aik Aourat Namaz ke liye nikli, Raaste mein Aik Aadmi unse mila aur usne us Aourat ke saath zabardasti badkari ki (Yani uska Rape kiya), To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us Shaksh ko Sangsaar yani Rajam karne ka Hukm diya (Yani use zameen mein aadha daalkar tab tak Paththar marey jaye jab tak wo "Mar Na jaye")

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.3 :: Hadith 973]




★ The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “A man will follow the religion of his close friend, so let each of you look to who he takes a close friend.” [Tirmidhi :: Hadith 2378]

♥ ♥ A true friend cares about your Aakhirah ♥ ♥  So, be smart on choosing a friend. & try to be a true friend for your friend.

◈ Acche dost Banao kyun k Aadmi ki Pehchan us k Doston se Hoti hai.




♥ How Adorable, Ma'sha'Allah! ♥

May Allah (SWT) bless our children, Making them Righteous, Healthy, Pious and Successful, Aameen!

[Not a Hadith]

Allahu Akbar!




✦.........................♥ Nikah ke Fawayed  ♥.........................✦

◈ “Nikah” Sharm o Haya paida karta hai.
◈ "Nikah" se Mard o Aourat ki Fitri Jazbat ko taskeen milti hai.
◈ Aourat ki hifazat hoti hai.
◈ Aoulad ki sahih tarbiyat hoti hai.
◈ Aik ghar basta hai.
◈ Nikah se be missal Mohabbat paida hoti hai.
◈ Rishte bante hai.
◈ Baahmi Ta’awun ka Jazba paida hota hai.
◈ Zina kari o Fahashi ka khatima hota hai.
◈ Fuqro Faqa ka khatima hota hai.
◈ Saaleh aur Munazzam Andaz mein Mua’shreh ki Islah hoti hai.

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated `Abdullah (Razi Allah Anhu): We were with the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) while we were young and had no wealth whatever. So Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "O young people! Whoever among you can marry, should marry, because it helps him lower his gaze and guard his modesty (i.e. his private parts from committing illegal sexual intercourse etc.), and whoever is not able to marry, should fast, as fasting diminishes his sexual power."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 4]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Mas’ud (Razi Allah Anhu) se Riwayat hai ke Ham Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam k zamane mein Nojawan the aur Hamen koi cheez muyassar nahi thi, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ham se farmaya, Nojawano ki Jamaat! Tum mein jise bhi Nikah karne k liye Maali Taqat ho use Nikah karlena chahiye kyun k ye Nazar ko nichi rakhne wala aur Sharmgah ki Hifazat karne wala Amal hai aur Jo koi Nikah ki Bojah Gurbat Taqat na rakhta ho use chahiye k Rozah rakhe kyun k Roza us ki Khuaheshat Nafsani ko tod dega.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 5066]




♥ Aansu aur Muskurahat 2 Anmol Khazane Hain, Aansu sirf Allah k samne bahao aur Muskurahat ko logon par Nichawar Kardo, Zindagi ka asal Mazah isi mein hai k hamesha Musibaton ka Muqabla karo aur uske saath saath Muskurate bhi Raho ♥ :-)

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DO NOT LOOK DOWN ON ANY ACT OF KINDNESS" ✦

Narrated by Abu Dharr Radi Allahu Anhu The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Do not look down on any act of kindness, even if it is just meeting your brother with a pleasant smile on your face.”

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6359]

Urdu Translation: Hazrat Abuzar Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujh se Irshad Farmaya Naiki mein kisi bhi cheez ko Haqeer na samjho Agarche tu Apne bhai se khanda peshani se hi Mile.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Hadith 6690]

●◗► Khandapeshani – Hansta hua, Khush Mizaj.





♥ Dunya ki Izzat Maal se aur Aakhirat ki Izzat Aa’mal se Hoti Hai! ♥





●◗► Mujhe koi Afsos nahi hai k main Gareeb hun, ye Sharam ki baat nahi hai k Aap k paas Taleem hasil karne k liye Rupye na ho, Aap k paas Accha khane, Accha pahenne k liye na ho...

Sharm ki Baat ye hai k Aap badkirdar hon, Aap logon ko takleef pohchate hon, Aap ko kisi ki Izzat karna na aata ho, Qaabile Sharm ye hain, Gurbat koi Qaabile sharm cheez Nahi hai ♥ Talwar se Jang to Jeeti ja Sakti hai Lekin Dil Nahi Jeete Jate, Dil to sirf kirdaar se Jeete Jate hai ♥

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Faith (Belief) consists of more than sixty branches (i.e. parts). And Haya (This term "Haya" covers a large number of concepts which are to be taken together; amongst them are self respect, modesty, bashfulness, and scruple, etc.) is a part of faith."

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 2 :: Number 2]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Imaan ki 60 se kuch upar shaakhain hain aur Haya (sharam) bhi Imaan ki Aik shaakh hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 9]





●◗► The best husband on the Earth is he who shows his wife the path to paradise, And the best wife is she who shows her husband the path to paradise ♥

♥ I love you because of your religion. If you let go of your religion, then I have to let go of my love for you” -- [Imam Nawawi]

••► Brothers and sisters, Please take a moment and think about this wonderful saying. Do you love your spouse because of the religion in her/him... or just only because the worldly lust ??

♥ Real Love Means Helping Each Other To Attain Jannah ♥ Not Holding Each Others Hands Walking Towards The Hellfire!!





......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated by Abdur-Rahman bin 'Abdullah Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "May Allah cause his face to shine, the man who hears a Hadith from us and conveys it".

[Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Book 1 :: Hadith 232]

Urdu Translation: Hazrat Abdur-Rahman bin Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah usko khush-haal rakhe jo Hamari Hadith ko suney aur Aagey pahuchaye.

[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Hadith 232]





♥ Jab 5 seconds ki Muskurahat se Tasveer Achchi ho sakti hai to sochiye Hamesha Muskurane se zindagi kitni khubsurat ho sakti hai ♥





●◗► Har Insan ke Sath Aise halat Aajate hai, Acche talluqat mein bhi kabhi Narazgiya bhi hoti hai Nafrate bhi paida hojati hai Lekin Hamara ye Pyara Deen kehta hain k Jab tum kisi se Mohabbat karo to Allah k liye karo aur Nafrat bhi karo to bhi Allah k liye Yahi to Kamil Iman hai ♥ Jo Allah k liye kiya Jaye Har kaam Aur Jis me Allah sath ho wo Narazgiya aur Nafrate sab Jald khatam Hojayengi InshaAllah ♥ Aap ko Deen ki Khuahesh par Chalna hai Deen Aap ki Khuahesh pe Nahi chalega ♥


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "LOVES, HATES, GIVES, & WITHHOLDS ONLY FOR THE SAKE OF ALLAH" ✦

Abu Umamah (Radi Allahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “If anyone loves for Allah's sake, hates for Allah's sake, gives for Allah's sake and withholds for Allah's sake, he will have perfect faith.”

[Sunan Abu Dawud :: Book 41 :: Hadith 4664]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Allah Tala ki khatir Mohabbat ki, Allah ki Wajah se Nafrat ki aur Allah hi ki Khatir (Maal) diya aur Allah hi ki khatir (Maal) Roka to beshak us ne Iman Mukammal karliya.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.3 :: Hadith 1254]




✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "GIVE SALAM WHEN MEETING PEOPLE" ✦

Narrated 'Imran bin Husain Radi Allahu Anhu: A man came to the Prophet and he said, “Peace be upon you.” (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ) The Prophet said, “TEN good deeds.”

Then another man came to the Prophet and he said, “Peace be upon you and the mercy of Allah.”
( السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ) The Prophet said, “TWENTY good deeds.”

Then another man came to the Prophet and he said, “Peace be upon you and the mercy of Allah and His blessings.” (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ) The Prophet said, “THIRTY good deeds.”

[Jami At-Tirmidhi :: Book 42 :: Hadith 2]

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Husain Radi Allahu Anhu farmate hain k Aik Shaks ne RasoolAllah ki khidmat mein Hazir hokar kaha (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ) Nabi ne Farmaya is k liye 10 Nekiyan hain.

Phir doosra Aadmi hazir hua aur kaha ( السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ) Aap ne Farmaya is k liye 20 Nekiyan hain.

Phir teesra Shaks aaya aur us ne kaha (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ) Aap ne Farmaya is k liye 30 Nekiyan hain.


[Urdu Ref ::  Jami Tirmizi :: Vol.2 :: Hadith 585]

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

Abu Huraira reported: The Messenger of Allah (may peace and blessing be upon him) observed: You shall not enter Paradise so long as you do not affirm belief (in all those things which are the articles of faith) and you will not believe as long as you do not love one another. Should I not direct you to a thing which, if you do, will foster love amongst you: (i. e.) give currency to (the practice of paying salutation to one another by saying) as-salamu alaikum. 

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 96]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Tum Jannat mein na jaoge Jab tak Iman na laoge aur Imandaar (Poore Momin) na banoge Jab tak Aapas mein aik Doosre se Mohabbat na rakhoge aur main tum ko wo Cheez na batladun Jab tum us ko karo to Aapas mein Mohabbat hojaye, Salam ko Aapas me Rayej karo.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.1 :: Hadith 194]

●◗► Imandar na banoge yani Poore Iman daar na honge Jab tak Mohabbat na rakhoge Aapas mein aik doosre se aur Salam rayej karne ke ye mane hain ke har Aik Momin ko Salam kare Khwah us se pehchan ho ya na ho aur Salam ulfat (Mohabbat) ka sabab hai aur Dosti paida karne ki kunji hai aur Salam ke rayej karne mein Musalmano k dilon mein Mohabbat jamti hai aur un ki Alamat Zahir hoti hai kyun ke Salam Musalmano ki Nishani hai jo un ko aur Qoumo se mumtaz kardeti hai Aur us mein Nafs ki Riyazat hai aur Tafaze hai aur Doosre Musalmano ki Tazeem hai.




✦..........♥ Abhi Moqa Hai ♥..........✦

♥ Chunke Aamal Naame khule hue Hain,
♥ Qalam chal rahe hain,
♥ Badan Tandrust o Tawana hain,
♥ Zuban Aazad hai,
♥ Toba suni Ja sakti Hai,
♥ Aur Aamal Qabool kiye ja skate Hain.