Wednesday 28 October 2015

✦........✿.....♥ Anbiya ke Waris ♥.....✿........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The learned are the heirs of the Prophets, and the Prophets leave neither dinar nor dirham, leaving only knowledge, and he who takes it takes an abundant portion."

[Sunan Abi Dawud :: Book 25, Hadith 3634, 3641]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ulama Anbiya ke Waris hain, Anbiya ne Dinaar o Darham ki Miraas nahi chhodi balke un ki Miraas Ilm hai, pus jis ne un ka Ilm hasil kiya us ne (Anbiya ki miraas ka) Bada hissa paliya."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 244]

●◗► Aourat ka sab se Bada kamal ye hai ke wo Apne Miyan ki Farmanbardar ho ♥ wo Baandi ban kar rahegi to Miyan gulam ban kar rahega, Aourat samajhti hai ke main apni Tezi aur Chalaki se apne Miyan ko mutthi mein lelungi, Jab ke dar haqiqat ✔♥ Farmanbardari aur Ita’at ke siwa Mutthi mein lene ka koi aur tariqa Nahi ✔♥

●◗► Dua aik Aisi halat hoti hai jis mein ham Hairat angez chizon ka tabadla karte hain, Ham apni sari Pareshaniyan, dukh aur takleef Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke hawale kar dete hain, Jab ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala apni Rahmaten, Nematen aur Barkaten hamare hawale kar deta hai, Kitna nafa ka soda hai ✿ SubhanAllah ✿

✦.....✔ Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat ✔.....✦
✦.....✿......♥ Haftah Bhar Noor hi Noor ♥.....✿......✦

●◗► REVIVE A SUNNAH ⇨ "READ SURAH AL-KAHF ON FRIDAY" ✦ Don't forget to read Surah Al-Kahf today and have your light from this Jumu’ah to the next Jumu’ah!

The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said: "Whoever reads Surat Al-Kahf on the day of Jumu’ah, will have a light that will shine from him from one Friday to the next."

Urdu Translation: Hazrat Abu Sayeed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks Jumah ke din Surah Kahf ki tilawat kare, to us ke liye is Jumah aur Agle Jumah ke darmiyan Noor Jagmagata Rahega."

[Urdu Ref :: Mustadrak Al-Hakim :: Hadith 3392] [Sunan Baihaqi :: Hadith 5856] [Al-Haakim :: 2/399, Al-Bayhaqi :: 3/249]

✦.....✿.....♥ Ashurah 10 Muharram ka Rozah ♥.....✿.....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Fast the Day of Ashura, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins of) the year before it."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 752]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Mujhe Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki zaat par Yaqeen hai ke wo Ashurah (Yani Muharram ki 10 Tareeq) ke Roze ke badle Guzishta Aik Saal ke Gunah Muaaf Farmadenge."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 730]

●◗► Note: 10/Muharram ke sath 9 ya 11 Muharram ka Rozah bhi Rakhlena chahiye Taa ke Yahood se Mushabihat na ho, Aage is ki Hadis bayan ki gayi.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Hukum (Order) Kiya is ke Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ye din to aisa hai ke iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ke Jab Agla Saal Aayega to In'sha'Allah Ham 9 ka Roza Rakhenge, Aakhir Agla Saal na Aane paya ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Duniya se wafat pagaye (isliye Hum Musalman 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2666]

✦ Sayyidna Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu ke Nana Jaan ki Shari’at mein Ranj o Gham mein Shor Sharabe ke Bajaye Sabr o Tahammul ✦

"Aur Sabr se Kaam lene walon ko khush Khabri sunado, Jinhen jab koi Musibat Pahochti hai to ye kehte hain:

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيۡهِ رَٲجِعُونَ

"Ham sab Allah hi ke hain aur Ham ko Allah hi ki Taraf lot kar Jana hai."

Ye wo log hain jin par un ke Parwardigar ki taraf se khususi Inayaten hain aur Rahmat hai aur yahi log hain jo Hidayat par hain." (Qur’an 2:156,157)

●◗► Zindagi ka Challenge qabool karo, Ummid ke tinke jama karo aur apna Aashyana dobarah Tameer karlo ✿► Wo Insan kamyab hota hai Jis ne Aazmayes o Musibat ki tarikiyon mein Ummid ka charag Roshan rakha, Ummid us khushi ka Naam hai jis ke Intezar mein Gham ke Ayyaam kat jate hain, Yaad rakho Mayusi Mout hai, hamesha pur Ummid raho! Aur Quran Kareem mein Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Farman hai ke kafiron ke siwa Allah ki rehmat se koi Mayoos nahi.

⇨ "And never give up hope of Allah's Mercy. Certainly no one despairs of Allah's Mercy, except the people who disbelieve." (Qur’an 12:87)

⇨ "Aur Allah ki Rahmat se na Ummid na ho’ Yaqinan Rahmate Rab se na Ummid wahi hote hain jo Kafir hote hain." (Qur’an 12:87)

✦....♥ Zubane Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam se ♥....✦
✦......✿.....♥ Jari hone Wale Moti Jaise Alfaz ♥.....✿......✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to talk so clearly that if somebody wanted to count the number of his words, he could do so."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 56 :: Hadith 768, 3567]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam is Qadar taher taher kar Guftagu farmate the ke Agar koi ginne wala (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Alfaz) ginna chahta to Gin leta."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Hadith 3567]

✦......♥ Hasan o Husain ke Chahne Wale ♥......✦
✦......✿.....♥ ALLAH KE MAHBOOB ♥…..✿......✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "These are my two sons (Hasan and Husain [peace be upon them]), and the sons of my daughter. O Allah! Indeed, I love them, so love them, and love those who love them."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3769]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Hasan aur Husain (RadiyAllahu Anhuma) mere bete aur meri Beti (Fatimah RadiyAllahu Anha) ke bete hain, Aye Allah! Main in donon se Mohabbat karta hun tu bhi in donon se Mohabbat farma aur in donon se Mohabbat karne walon se bhi Mohabbat farma."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1702]

Saturday 17 October 2015

✦........▶▶ Khuabon ki Dastanen Sunane Wale! ◀◀........✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The worst lie is that a person claims to have seen a dream which he has not seen."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 167]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Sab se Bad’tareen Jhoot ye hai ke Insan khuab mein Aisi cheez  ke dekhne ka dawa kare jo us ki Aankhon ne na dekhi ho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7043]

✦.........✔ Neki kar ke Zaye na Karen ✔..........✦

● Garibon aur Miskinon par maal kharch kiya jaye lekin phir Ehsan jitla kar unhen zaleel kiya jaye.

● Mehman ka khoob ikram kiya jaye magar jane ke Baad us ki gibat shuru kardi jaye.

● Namaz ke liye wuzu kiya jaye lekin Dourane wuzu pani zaye kiya jaye.

● Raat dair tak Jalsah Seerat, Mahfile zikr, Mahfil Naat khuani Mun’aqid ki jayen lekin Fajr ki Namaz tark kardi jaye.

● Khidmate khalq ke kaam zor o shor se kiye jayen magar Qaribi Rishtedaron se Silah Rahmi na ki jaye.

✦...........:( Khamosh Nafarmani!! :(............✦

●◗► Jab Jawan bete ke hote hue Budha Baap Samaan Dhota ho, Jab Jawan Beti ke hote hue Budhi Maa ghar ke kaam kaaj karti ho.

⇨ "Aur Ajz o Niyaz se un ke aage jhuke raho aur un ke Haq mein Dua karo ke Aye Parwardigar Jaisa inhon ne mujhe bachpan mein (shafqat se) parwarish kiya hai tu bhi un (ke haal) par Rahmat farma." (Qur’an 17:24)

⇨ "And lower unto them the wing of submission and humility through mercy, and say: "My Lord! Bestow on them Your Mercy as they did bring me up when I was small." (Qur’an 17:24)

◈➲ Ajz o Niyaz - Aajizi, Shafqat o Mohabbat.

✦.....✿......♥ Khana Khane ka Aik Ahem Adab ♥......✿.....✦

Narrated Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Indeed the blessing descends to the middle of the food, so eat from its edges, and do not eat from its middle."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 23 :: Hadith 1805]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Barkat khane ke (bartan ke) Darmiyani hisse mein utarti hai, Lehaza (bartan ke) kinaron se (ibteda’an) khaya karo, is ke darmiyan se na khaya karo."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1863]

✦...........♥ Farz Namaz ke Baad Ayat al-Kursi ♥...........✦

It is Narrated from Abu Umamah (RadiyAllahu Anhu) that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever reads Ayat al-Kursi after every mandatory (fardh) prayer, only his death prevents his entry into Jannah."

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks har Farz Namaz ke baad Ayat al-Kursi padhe to us ke liye Jannat mein dakhil hone mein siwaye Mout ke koi Rukawat nahi."

[Reported by Imam Nasa’i and Tabarani, graded authentic by Sh. Al-Albani]


✦.....✿.....♥ Aourat ke Liye Chehre ka Pardah ♥.....✿.....✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "Riders would pass us when we accompanied the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasalllam) while we were in the sacred state (wearing ihram). When they came by us, one of us would let down her outer garment from her head over her face, and when they had passed on, we would uncover our faces."

[Sunan Abi Dawud :: Book 10 :: Hadith 1829, 1833]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain: "Ham Aourten Hajj mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Ihram ki halat mein thin, Jab hamare samne se Sawariyon par sawaar Mard guzarte to ham apni Chadaren sir ke uphar se niche latka kar Chehra chupa leti thin, phir Jab wo mard Aage badh jate to ham Apna chehra khol leti thin."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 69]

●◗► Zara Gor karen: Zamana Khaire Quroon ka hai, Tamam sahaba Halate Ihram mein hain, Naiz Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha o Digar Azwaje Mutahrat ko Quran kareem ne Ummat ki mayen qarar diya hai, Aise mein kon bad’bakht aisa ho sakta tha jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki Maojudgi mein Azwaje Mutahrat aur Ummat ki Maaon ko buri nigah se dekhta???

●◗► Lekin Yaad Rakhe! Aourat ko koi Acchi nigah se dekhe ya buri nigah se, Use Allah ka hukum pura karte hue Na Mahram mardon se apna Chehra chupana hai.

●◗► Suna hai ke Baitul’khala Khabees aur shararti Jinnon ke rahne ki jaga hai kyun ke wo Gandi jagahon par rahna zyadah pasand karte hain, isi liye pehle zamanon mein log gharon mein Baitul’khala nahi banaya karte the balke Qazaye hajat ke liye gharo aur Aabadi se door wiranon mein jaya karte the, phir waqt ke sath sath log badalte gaye aur Sahulat ke Aadi hogaye Chunanche pehle gharon ke sath Baitul’khala banane ka riwaj hota phir ye ghar ke Andar aagaye.

Aur ab to ye haal hai ke har kamre ke sath "Attach Bathroom" har ghar ki zeenat ban gaya hai, ye Attach bathroom sahulat ke sath sath khabees jinnon ko bhi gharon mein le aaye hain jin ki ye pasandidah jagah hai, Isi wajah se Gharon mein Bimariyon, pareshaniyon aur ladayi Jhagdon mein izafa hua hai, Ab chunke Bathroom ko to ghar se bahar muntaqil karna mumkin nahi is liye Masnoon Duaon ke Ehtemam se un khabees Jinnon se bacha ja sakta hai.

► Aik to ghar mein dakhil hote waqt Assalamu Alaikum kehna apni aadat banayen aur Dusra ye ke ghar ke har fard chahe baccha ho ya bada use baitul’khala mein dakhil hone aur nikalne ki dua sikhaden, aur Ehtemam ki aadat dalen, jo log apne gharon mein Bimariyon, Pareshaniyon, aur ladayi jhagdon se pareshan hain wo is Aml ki pabandi karlen chand din mein hi hairat Angez natayej hasil honge.

●══════════════════◄►═════════════════●

Dakhil hote waqt pehle Bayan (left) aur phir Dayan (right) paon andar rakhe aur Nikalte waqt pehle Dayan (right) phir bayan (left) paon bahar rakhe.

▶▶▶ Dakhil Hone ki Dua Padhna ◀◀◀

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ "
"Allah-umma inni a`udhu bika minal khubuthi wal khaba'ith”

"Aye Allah! Main napaak Jinnon (mard) aur napaak Jinniyon (Aourat) se teri panah mangta hun." [Sahih Bukhari :: Hadith 142]

Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne shaitanon ke shar se Allah Tala ki panah is liye talab farmayi ki Aam tor par Shaitan baitulkhala mein hi rahte hain.

▶▶▶ Nikalne ki Dua Padhna ◀◀◀

" غُفْرَانَكَ "
"Ghufraanak"

"Aye Allah! Main teri bakhshish Chahta hun." [Sunan Abu Dawood :: Hadith 30]

Note: Insan ko din aur raat mein kayi martaba Baitul’khala mein jana padta hai, to har Martaba use in char sunnaton par Aml karna chahiye, do dakhil hone ki aur do nikalne ki.

Sunday 4 October 2015



✦...........♥ Sir Mundhwa kar Bakhshe Bakhshaye ♥...........✦
✦...✿...♥ Wapas Aane Wale HUJJAJ- E-KARAM ♥...✿...✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "O Allah! Forgive those who get their heads shaved."

The people asked. "Also those who get their hair cut short?" The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "O Allah! Forgive those who have their heads shaved."

The people said, "Also those who get their hair cut short?" The Prophet (invoke Allah for those who have their heads shaved and) at the third time said, "also (forgive) those who get their hair cut short."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 26 :: Hadith 786, 1728]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Manasike Hajj ada karne walon ke liye) Dua farmayi: "Aye Allah! Sir Mundhwane (Halq karwane) walon ki Maghfirat farmade."

Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum ne Arz kiya: Aur Baal katarwane walon ki? Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam (dobarah wahi) Dua farmayi: "Aye Allah! Sir Mundhwane walon ki Maghfirat farmade."

Sahaba Karam ne phir Arz kiya: Aur baal katarwane walon ki? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne 3 Martaba pahli wali Dua hi irshad farmayi, phir (Aakhir mein) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aur Baal katarwane walon ki bhi Maghfirat farmade."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1728]

✦....► Dusron ko Nekiyon ka Hukum Aur Khud Gunahon ka Irtikab ◄....✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "A man will be brought on the Day of Resurrection and thrown in Hell-Fire and his intestines will pour forth in Hell and he will go round along with them, as an ass goes round the mill stone. The denizens of Hell would gather round him and say: O, so and so, what has happened to you? Were you not enjoining us to do what was reputable and forbid us to do what was disreputable?

He will say: Of course, it is so; I used to enjoin (upon people) to do what was reputable but did not practise that myself. I had been forbidding people to do what was disreputable, but practised it myself."

[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7122, 7674]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qayamat ke din aik Aadmi ko laya jayega aur use Dozakh mein daal diya jaye ga jis se us ke Pait ki Aanten nikal Aayengi, wo Aanton ko lekar is tarah ghumega jis tarah Gadha chakki ko lekar ghoomta hai, Ahle Jahannam us ke paas ikhatte ho kar kahenge, Aye Fulan! Tujhe kya hua? (yani aaj tu kis halat mein hai?) kya tu logon ko Neki ka hukum nahi deta aur Burayi se nahi rokta tha?

Wo kahega: Han main logon ko to Neki ka hukum deta tha lekin khud us par Aml nahi karta tha aur logon ko Burayi se mana karta tha lekin khud us Burayi ka irtekab karta tha."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7483]

●◗► Asatezah (teachers), Syasi leaders, Ruhani o Mazhabi peshwa aur Dawat o Irshad ka kaam karne walon ke liye is Hadees mein sakht Warning hai jo duson ko Acchi baten kehte hain magar khud un par Aml nahi karte aur logon ko Gunahon se mana karte hain aur khud un Gunahon se nahi bachte.

◈➲ Irtikaab - Jurm karna, Gunah mein khud Mubtela hona.


✦........▶▶▶ Murdon ko Bura Bhala Mat kaho ◀◀◀........✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Don't abuse the dead, because they have reached the result of what they forwarded."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 476, 1393]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah  Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Fot shudah logon ko Bura Bhala mat kaho, kyun ke unhon ne (Acche ya Bure) jo Aa’mal aage bheje hain wo un (ke badle) tak pahonch chuke hain."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1393]

●◗► Zindagi kisi ke liye bhi Aaram ka Naam nahi, har kisi ko apni Zindagi mein Mushaqqat uthani padti hai par sab Aazmayesh ke bawajood Muskura kar jina Asal zindagi hai :-) ••► Zindagi ka asal maza isi mein hain ke Hamesha musibaton ka muqabla karo aur us ke saath saath Muskurate bhi raho. :-)

✦.....✿.......♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥......✿.....✦

♥ Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Al-Adha Mubarak ♥

Hazrat Wasla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Tala hamare aur aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye."

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak hamare aur Aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye." [Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ki Qurbani aur Hajje Baitullah samait digar tamam Ibadaat apni Bargaahe Rahmat mein qubool farma kar hamen Deen Mateen ke liye har tarah ki Qurbani dene ka jazba Ibrahimi Ata farmaye. Aameen

✦......✿.....♥ Eid Al-Adha ke Aadaab ♥.....✿......✦

❶ Subah sawere uthna.
❷ Miswak karna.
❸ Gusul karna.
❹ Shari’at ke dayere mein rahte hue Apni Aarayesh karna.
❺ Umdah se Umdah kapde jo paas Maojood ho pahenna.
❻ Khushbo lagana.
❼ Surma lagana.
❽ Eid ki Namaz se pehle kuch na khana.
❾ Jald az Jald Eidgah pahochna.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar padhna.
⓫ Eidgah paidal jana.
⓬ Eidgah se wapasi par dusra raasta Ekhtiyar karna.
⓭ Eidgah jate waqt aur wahan se wapsi par Raaste mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Ba’aawaze buland padhna.

⓮ Qurbani ke Mubarak Gosht se khane ki Ibteda karna.

✦......:'( Rami Jamrat ke Douran Shaheed Hone Wale :'(......✦

Ibn Abbas (Allah be pleased with them) reported that a person proceeded along with the Messenger of Allah (may peace he upon him) in the state of Ihram and fell down from his camel and his neck was broken, and he died.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Bathe him with water mixed with lote (leaves) and shroud him in two (pieces of) cloth and do'not cover his head for he would come on the Day of Resurrection pronouncing Talbiya."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 2748, 2951]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Aik Shaks RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hamraah Bahalate Ihram tashreef laye, wo shaks apne Oont se gire aur gardan toot jane ki waja se fot hogaye.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Inhen pani aur Beri ke patton se gusul dekar inhi 2 kapdon mein Kafan do aur in ka sir na Dhanpo (taa ke Ihram ki nishani maojood rahe), kyun ke inhen Qayamat ke din isi tarah Talbiya kehte hue uthaya jayega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2891]

 ✦......✿.......✔ TAKBEERATE TASHREEQ ✔.......✿......✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) ke din Namaz Fajr se Ayyam Tashreeq ke Aakhri din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr tak Takbeere Tashreeq padhte the."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah (24/Sep/2015) ki Namaze Fajr se 13 Dhul Hijjah (28/Sep/2015) ki Namaze Asr tak har Farz Namaz ke baad ba Jama’at ya Tanha Namaz padhne wale Mard par Aik Martaba buland Aawaz se aur Aourat par aik Martaba Aahista Aawaz se ye Takbeer padhna Wajib hai.