Friday 11 August 2017

✦......♥ Jumah Ke Din Umdah Libas! ♥......✦

●◗► Jab Aap koi Umdah ya Naya Libas Pahenna Chahen to Behtar ye hai ke Jumah ke Din use Pehnen, is Liye ke Jumah ke Din Umdah Libaas Pahenna Masnoon Hai.

❤️ Fikr, Khayal Aur Izzat Dene Wale Naseeb Se Milte Hain Qadar Ki jiye! ❤️

✦....► Khane Ke Dauran Agar Luqma Gir Jaye To ? ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The Satan is present with any one of you in everything he does; he is present even when he eats food; so if any one of you drops a mouthful he should remove away anything filthy on it and eat it and not leave for the devil; and when he finishes (food) he should lick his fingers, for he does not know in what portion of his food the blessing lies.”

[Sahih Muslim :: Book 23 :: Hadith 5046]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba Shaitan tum Mein se har Aik ke Sath us ke har Kaam ke Waqt Hazir Rehta hai, Hatta ke khane ke Waqt bhi us ke Paas Maojood Rehta hai, Lehaza Khana Khate Waqt Jab tum Mein se kisi ka Luqma Gir jaye to use Uthale aur us Mein jo Gandagi (Mitti Wagherah) Lagi ho use Saaf kar ke Khale Aur use Shaitan ke liye Na Chhode, Phir Jab khane se Farigh ho Jaye to Apni Ungliyan Chaat le, is liye ke wo Nahin Janta ke Khane ke kis Hisse Mein Barkat hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5303, 5423]

●◗► Khush Naseebi Kisi Uhday ka Naam Nahin, Samaji Martabe Aur Shohrat ka Naam Nahin, Bank Balance ka Naam Nahin, Aulad ki Kasrat ka Naam Nahin, Bade Bade Makanon ka Naam Nahin... Balke Khush Naseebi Sirf “Apne Naseeb Pe Khush Rehne” ka Naam hai.

✦....♥ Ammi Aur Abbu Hamesha Zindah Rehte Hain! ♥.....✦

●◗► Log Kehte hain ke Ammi aur Abbu Mar jate hain to Dunya Weeran ho jati hai, Par Aisa lagta hai ke Ammi Abbu Hamesha Zindah aur Hamare sath Rehte hain, Haqiqat ye ke kisi Bhai ki Aankhen Abbu jaisi hoti Hain to kisi Bahen ka Chehrah Ammi ki Tarah, Koi Abbu ki Tarah Muskurata hai to kisi Bahen ke hath mein Ammi Jaisi lazzat!!!

Agar kabhi Ammi Abbu ki Yaad Aaye to Sab Bahen Bhai mil kar Baith Jayen, Kisi ke Chehre mein Maa Muskurati Nazar Aayegi aur kisi ki Baton mein Walid ka Lehja Sunayi dega.

💖 Rabte Bata Dete Hain Ke Dil Mein Kitni Qadar Hai, Kehne Ko To Sabhi Apne Hote Hain 💖

✦.....► Ibadat ki Lazzat Kyun Mahsoos Nahin Hoti? ◄......✦

Hamare Zahnon Mein Aksar ye Sawal Gardish karta hai ke Hamein Ibadat ki Lazzat Kyun Mahsoos Nahin Hoti?

●◗► Aik Allah Wale ne is ka ye Jawab diya ke Hamare aur Ibadat ki Lazzat ke Darmiyan Gunah Hayel ho Chuke hain aur Gunahon ki Kasrat Aik Aisi Ruhani Bimari hai Jis ki Waja se Ibadat ki Mithaas Naseeb Nahin hoti, Aur Hamari Halat bilkul us Bimar ki Tarah Ho jati hai Jise Shahed bhi kadwa Mahsoos hota hai Halan ke Kadwahat Shahed ki Nahin bal ke Marz ki Hoti hai.

✦...........► 2 Jahannami ka Giroh ◄............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jahannam Mein Jane Wale 2 Giroh Aise Hain jo Main ne Abhi tak Nahin Dekhe (Aur wo mere Baad dunya Mein Paida Honge),

❶ Aise Log Aayenge Jin ke Paas Bail ki Dumon ki Tarah Sakht Kode Honge Jin se wo Logon ko (Zulman) Mara Karenge.

❷ Aisi Aurten Paida Hongi jo Kapde Pehenne ke Bawajood Nangi hongi (Yani bareek aur Tang kapde un ke Jism par Honge), Mardon ko (Adaye dikha kar) Apni Janib Mayel Karne Wali aur khud Mardon ki Janib Mayel hone Wali hongi, Un ke sir Bukhti Oonton ke Kohaan ki Tarah (Balon mein Unche jode Lagane ki Wajah se) Aik taraf Jhuke honge, Aisi Aurten na Jannat mein Jayengi aur na Jannat ki Khushbon Soongh Sakengi, Halan ke Jannat ki Khushbon Door door tak Sunghi jati hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7194, 5704]

► Bukhti oont – Aik qism ka bada oont
► Kohaan - Oont ki peet ki bulandi, Saand ya Bail ka Uncha kandha.

●═══════════════◄►═══════════════●

Abu Huraira RadiyAllau Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Two are the types amongst the denizens of Hell,

❶ The one possessing whips like the tail of an ox and they flog people with their help.

❷ (The second one) the women who would be naked in spite of their being dressed, who are seduced (to wrong paths) and seduce others with their hair high like humps. These women would not get into Paradise and they would not perceive the odour of Paradise, although its frag- rance can be perceived from such and such distance (from great distance).

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6840]

😢 Qusoor Kisi Ka Bhi Ho Par Aansu Hamesha Be Qusoor Ke Hi Hote Hain 😢

✦........♥ Hajj Ki Adayegi Mein Jaldi! ♥........✦

“The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Whoever intends to perform Hajj, let him hasten to do so, for he may fall sick, lose his mount, or be faced with some need."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Hajj ka iradah Kare to Use Jaldi karna Chahiye Kyun Ke Use Koi Marz La haq ho Sakta hai, Sawari Gum ho Sakti hai Aur Koi Majboori Pesh Aa Sakti hai.”

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 1834,  Sunan Ibn Majah: 2883]

✦.....♥ Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ke Auasaf! ♥.....✦

❶ Nazren: Nichi
❷ Khayalat: Unche
❸ Fikr: Wasee
❹ Dil: Narm
❺ Tabiyat: Faqeerana
❻ Zahen: Aalimana
❼ Chehra: Muskurana
❽ Zuban: Dilerana
❾ Akhlaq: Paighambari
❿ Muamlat: Diyanat Darana
⓫ Qadam: Nafs Par
⓬ Anjam: Arsh Par
⓭ Jawani: Jangi
⓮ Budhapa: Zahedana
⓯ Mohabbat: Talwar Se
⓰ Khof: Qahhar Se
⓱ Shoq: Shahadat ka
⓲ Aarzu: Jannat ki

💖 Kisi Khushbon se Apne Kapdon ko Mehkana Badi Baat Nahin, Mazah to Tab Aaye jab Hamare Kirdaar se Khushbon Aaye 💖

✦..........► Nakhun Badhane Ka Fashion! ◄...........✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]

Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Rasool Akram ﷺ ne Hamare Liye Munchen katne, Nakhun Tarashne, Baghlon ke Baal Ukhadne aur Zere Naaf Balon ki Safayi ki (Zyadah Se Zyadah) Muddat Ye Muqarrar Farmayi ke Ham inhen 40 Din se Zyadah na Chhoden Rakhen."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 599, 622]

✦..........► Waldain ke Inteqal Ke Baad ◄..........✦
✦....► Bhaiyyon ki Zimmedari Badh Jati Hai! ◄....✦

●◗► Waldain ke Inteqal ke Baad Bahnon ko Bhaiyyon ka Aasra hota hai, Lehaza kabhi bhi Apni Bahnon ko Akele Pan ka Ehsas na Hone den, Waqtan Fawaqtan un se Milte Rahen, Unhen Hadya aur Gift den aur Jab kabhi wo Maike Aayen to un ki Khoob Khatir Madarat Karen Taa ke Unhen Waldain ki Kami Mahsoos na ho.

●◗► Aik Martaba main Apne aik Dost ke Sath Jo ke Nao Muslim (Revert) tha, Namaz Padhne Masjid mein Gaya, Main Namaz Padh kar Thodi dair mein Bahar Aagaya Lekin use waha se Bahar Aane mein Paon ghanta Lag gaya.

► Main hairan tha ke Ye shaks Mera itna bhi Khayal Nahin kar sakta, Mujhe bahar khada kar Gaya hai, Main Sonch hi Raha tha ke wo (Nao Muslim) mere Paas Aaya aur Intehayi Sharmindagi aur Aajizi se kehne laga,

► Asal mein Tum Logon ne Bachpan se Allah ka zikr suna hota hai, Musalman ghar Mein Paida hote ho is Liye Tumhen Namaz Padhte hue Allah ka Tasawwur Zahen mein Lane Mein kitni Aasani hoti hai, Mujhe to Aadha Ghanta lag jata hai Apne zahen ko Yaksu kar ke ye Kaifiyat Lane mein ke, Aise lage Jaise Main Allah ke Huzoor khada hun, Aap Maherbani Kar ke Mujhe koi Aisa Tareeqa Bata do ke Main Jaldi Se Allah ke Tasawwur Mein Apne Aap ko Yaksu kar Sakun.

Meri Aankhon Se Aik dum Aansu Nikal Pade, Sharm  Se Mera Sir  Jhuk Gaya, Mere Daman Mein Apne Iman Ki Kamtari ke Siwa Kuch Bhi na Tha.

🌺 Kamal Ke Log Hote Hain Jo Aap Ki Aawaz Se Aap ki Khushi Aur Udasi Ka Andazah Laga Lete Hain 🌺

✦..► Bewah Ya Mutllaqah Beti Pe Kharch Karne Ka Sawab! ◄...✦

Suraqa ibn Malik (RadiyAllahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said to him, “O Suraqa, shall I not tell you about the greatest of charities?” He said, “Of course, O Messenger of Allah.” He (ﷺ) said: “To provide for your daughter when she is returned to you and you are her only source of provision.”

Urdu Translation: Hazrat Suraqa bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Kya Main Tumhen Azeem Sadaqa ke Bare mein Aagah Kardun ? (Wo Kharch Karna hai) Apni us Beti Par Jo Tumhari Taraf Wapas Kardi Gayi ho (Yani us ka Khawind Faut ho Gaya ho ya Khawind ne Talaq De di ho) Aur Tumhare Siwa us ka Koi Kamane Wala na ho.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 7345]

🌸 Rishton ki Mazbooti Ke Liye Tahammul Sabr Aur Bardasht Lazim hai Warna! Kal Tootne Wale Rishte Aaj hi Toot Jate Hain 🌸

No comments:

Post a Comment