Tuesday 19 September 2017

✦....♥ Naik Kamon Mein Baham Ta’awun Karne Wale Miyan Biwi! ♥....✦

●◗► Neki ke Kamon mein Baham Ta’awun karne wale Miyan Biwi Allah Subhanahu Wa Ta'ala  ko Bahot Pasand hain, Aik Hadis ka Mafhoom hai ke Allah us Shohar ya Biwi Par Rehmat Nazil Farmate hain jo Namaz Tahajjud ke liye uthe aur Apne Shareeke Hayaat ko bhi uthaye aur Neend ka Ghalba door karne ke liye Pani ke Chinte Mare, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Tamam Zaujain ko Aik Dusre ke Sath Naik Kamon mein Ta’awun karne ki Toufeeq Naseeb Farmaye. (Aameen)

●◗► Maali Halaat Jaise bhi hon, Apne Ghar mein Aik Sadaqah Box Banalen, Phir Chahe Aik Rupya hi Kyun na ho, Rozana Hasbe Toufeeq us mein Dalte Rahen, aur Maah ke Aakhir mein Jama Shudah Raqam kisi Mustahiq ko Izzat o Waqar ke Sath Pesh Karden…. Aur Phir Maali Kushadgi, Qalbi itminaan aur Har Mua’mle Mein Sahulat o Aasani ka Apni Aankhon se Mushahedah Karen.

🍃 Dilon Mein Jagah Na Rahe To Lehjon Mein Kadwahaten Aahi Jati Hain 🍃

✦.....► Hadya Ya Gift Dekar Wapas Lene Wala! ◄.....✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 762 , 2589]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Apna Hadya (Gift), Wapas Lene Wala us Kutte ki Tarah hai Jo Qai kar ke Dobarah ise Chaat Jata hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2589]

🌸 Aap Jitna Zyadah Waqt Quran ki Tilawat Mein Kharch Karenge Aap Ke Waqt Mein Itni hi Barkat Hogi 🌸

✦.......► Waldain Ko Hargiz Na Rulayen! ◄.......✦

Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma se Marwi hai ke Aik Shaks Nabi Kareem ﷺ ki Khidmat mein Bay’at ke liye Hazir hue aur Kehne Lage ke Main Hijrat par Aap se Bay’at karne ke Liye Aaya hun aur (Main ne Badi Qurbani di hai ke) Apne Waldain ko Rota hua Chhod kar Aaya hun,

Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Wapas Jao aur Jaise Unhen Rulaya hai Usi Tarah Unhen Hansao.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7255]

عن عبد الله بن عمرو قال : جاء رجل إلى النبي صلى الله عليه و سلم يبايعه على الهجرة فقال : إني جئت أبايعك على الهجرة و تركت أبوي يبكيان فقال : ارجع إليهما فاضحكهما كما أبكيتهما (المستدرک علی الصحیحین للحاکم : ، 7255 حدیث صحیح)

✦.......► Khoob Tehqeeq Ke Baad Rishta Tai Karen! ◄.......✦

Jo Mard Zaheri Halat se Musalman Samjha Jaye Lekin Aqayed us ke Kufr tak Pohche hue hon Us se Musalman Aurat ka Nikah Durust Nahin Aur Agar Nikah ho Jane ke Baad Aqayed Kharab ho Jayen to Nikah Toot jata hai, Jaise Aaj kal Bahot se Aadmi apne Mazhab se Na waqif Science ke Asar se Apne Aqayed Tabah kar lete hain, Lehaza Ladki Walon Par Wajib hai ke Payaam Aane ke Waqt Awwal Aqayed ki Tehqeeq Kar liya Karen Tab Zuban den.

(Maariful Quran Az Mufti Shafi Usmani Rahimahullah, Tafseer Surah Al-Baqarah, Ayat: 221)

<3 7 Din Mein Waldain ko Kandhon Par Utha Kar Burma Se Bangladesh Pahochne Wala Ba Himmat Naujawan! <3

🌸 Shohrat To Janaze Ke Din Pata Chalegi, Paisa To Har Koi Kama Leta Hai..!! 🌸
✦.....♥ Jismani Dard se Najat ka Nabwi Nuskha ♥.....✦

Uthman b. Abu al-'As Al-Thaqafi RadiyAllahu Anhu reported that he made a complaint of pain to Allah's Messenger (ﷺ) Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said:

Place your hand at the place where you feel pain in your body and say Bismillah (in the name of Allah) three times and seven times

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ ‏"

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (I seek refuge with Allah and with His Power from the evil that I find and that I fear).

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5462]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Abu al-'Aas RadiyAllahu Anhu ne Apne Jism Mein dard ki Shikayat ki, RasoolAllah ﷺ ne un se Irshad Farmaya:

"Apne Jism ki Dard wali Jagah par hath Rakh kar Teen Martaba Bismillah Padho phir 7 Martaba ye Dua Padh lo:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ ‏"

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (Tarjumah: Main Allah ke jalal aur us ki Qudrat ki Panah Talab karta hun is Bimari ke shar se jo Mujhe is waqt lahaq hai aur Jis ke Aayinda hone ka Khadsha hai)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5737, 5867]

✦..........► Riyakari Chup Nahin Sakti! ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "Whoever does a good deed in order to show off, Allah will expose his intentions on the Day of Resurrection (before the people).”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 266,  7152]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Logon ko Dikhlane aur Shohrat ke Liye (Khair ke) Kaam Karega to Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qayamat ke Din us ki Riyakari ka Haal Logon ko Suna Dega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7152]

✦.........► Maut Ko Hamesha Yaad Rakho ◄.........✦

Abu Hurairah RadiyAllahu  Anhu  Narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Increase in remembrance of the severer of pleasures." Meaning death.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2307]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: “Maut ko Kasrat se Yaad kiya karo Jo Tamam Lazzat ko Khatam kar Dene Wali hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 188, 2307]

❤️ Kitne Khush Qismat Hote Hain Wo Log Jin ki Mohabbat Ka Anjam Qubool Hai..Qubool Hai.. Qubool Hai.. Pe Hota Hai ❤️

❤️ Sarhaden Mulkon Ki Hoti Hain Dilon Ki Nahin ❤️

✦...► (BURMA) Mazalim Dhane Walon Ke Liye Bad’dua! ◄...✦

Allah's Messenger (ﷺ) said:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

"O Allah! The Revealer of the Holy Book, the Swift-Taker of Accounts, O Allah, defeat Al-Ahzab (i.e. the clans), O Allah, defeat them and shake them."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 184, 2933]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

“Aye Allah! Kitab Nazil Karne Wale! Hisab Jaldi Lene Wale! (Mushrikeen ke) Girohon ko Shikist de! Unhen Shikist de! Aur Unhen (Azab ki Shiddat Se) Jhinjhod kar Rakh De!.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2933]

💖 Agar koi Aap ko Rokta hai Tokta Hai Waqt Mangta hai Hisab Talab Karta Hai To Yaqeen Janen Aap Bahot Naseeb Wale Hain Kyun ke Qismat Walon Ko Hi Fikr Karne Wale Milte Hain 💖

✦..► Raza Mandi Ke Baghair Kisi Ka Maal Halal Nahin! ◄..✦

The Messenger of Allah ﷺ said: “It is not permissible for you to take the property of a Muslim except with his consent.”  (Narrated by Ahmad: 201172)

Urdu Translation: RasoolAllah  ﷺ ne Irshad Farmaya: “Koi bhi Apne Musalman Bhai ki Koi Cheez Us ki Ijazat Ke Baghair Istemal Na kare.” (Musnad Ahmad: 201172)

●◗► Is Hadees se Maloom Hota hai ke Kisi ki Privacy Mein Dakhal Andazi ki Shari’at Ijazat Nahin Deti, Biwi ke Liye Jayez Nahin hai ke Apne Shohar ke Mobile ko Baghair Ijazat ke Padhe, Shohar ke liye Jayez Nahin hai ke Biwi ke Mobile ko Baghair Ijazat Dekh na Shuru Karde.

Tuesday 5 September 2017

✦........♥ Neend Na Aane Ka Nabwi Ilaj ♥........✦

Urdu Translation: Sahabi Rasool Hazrat Khalid bin Waleed RadiyAllahu Anhu ne Nabi Akram ﷺ se Raat Bhar Neend Na Aane ki Shikayat ki, RasoolAllah  ﷺ ne Farmaya: “Jab Tum Apne Bistar Par Sone ke liye Jao to Ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ رَبَّ السَّمَوَاتِ السَّبْعِ وَمَا أَظَلَّتْ وَرَبَّ الأَرَضِينَ وَمَا أَقَلَّتْ وَرَبَّ الشَّيَاطِينِ وَمَا أَضَلَّتْ كُنْ لِي جَارًا مِنْ شَرِّ خَلْقِكَ كُلِّهِمْ جَمِيعًا أَنْ يَفْرُطَ عَلَىَّ أَحَدٌ مِنْهُمْ أَوْ أَنْ يَبْغِيَ عَلَىَّ عَزَّ جَارُكَ وَجَلَّ ثَنَاؤُكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ‏"‏

Tarjumah: Aye Allah! Saton Aasmanon ke aur un Cheezon ke Rab jin Par wo Aasman Saya Figan hain, Sari Zaminon ke aur un sari Cheezon ke Rab jin ka bojh Zaminen uthaye hue hain aur Shayateen ke aur Jinhen Shayateen ne Gumrah kiya hai un sab ke Rab! Tu Mujhe apni Panah mein lele Apni Tamam ki Tamam Makhluqat ke Shar se, Ta ke un Makhluqat mein se koi Mujh par Zulm o Zyadati na kar sake aur Na hi koi Baghawat o Sarkashi ka Murtakab ho, Teri panah mein Aane wala Ghalib rehta hai, Teri Hamd o Sana Badi Azmat wali hai, Tere siwa koi Mabood Barhaq Nahin aur Mabood to bus Tu hi hai.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1447, 3523]

●═══════════════◄►═══════════════●

Sulaiman bin Buraidah narrated that his father said: “Khalid bin Al-Walid al Makhzumi RadiyAllahu Anhu complained to the Prophet (ﷺ) saying: ‘O Messenger of Allah, I do not sleep at night due to insomnia.’ So Allah’s Prophet (ﷺ) said: ‘When you go to your bed, say:

اللَّهُمَّ رَبَّ السَّمَوَاتِ السَّبْعِ وَمَا أَظَلَّتْ وَرَبَّ الأَرَضِينَ وَمَا أَقَلَّتْ وَرَبَّ الشَّيَاطِينِ وَمَا أَضَلَّتْ كُنْ لِي جَارًا مِنْ شَرِّ خَلْقِكَ كُلِّهِمْ جَمِيعًا أَنْ يَفْرُطَ عَلَىَّ أَحَدٌ مِنْهُمْ أَوْ أَنْ يَبْغِيَ عَلَىَّ عَزَّ جَارُكَ وَجَلَّ ثَنَاؤُكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ‏"‏

O Allah, Lord of the Seven Heavens and what they have shaded, Lord of the earths and what they carry, Lord of the Shayatin and those they have misguided, be for me a Protector against the evil of Your creation, all of them together, so that none of them should transgress against me, or oppress me, mighty is the one who seeks protection in You, and glorified is Your praise, and there is none worthy of worship other than You, and there is none worthy of worship except You.

(Allāhumma rabbas-samāwātis-sab`i wa mā aẓallat, wa rabbal-arḍīna wa mā aqallat, wa rabbash-shayāṭīni wa mā aḍallat, kun lī jāran min sharri khalqika kullihim jamī`an an yafruṭa `alayya aḥadun minhum, aw an yabghiya `alayya, `azza jāruka wa jalla thanā’uka, wa lā ilāha ghairuka wa lā ilāha illā anta).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3523 , 3523]

😊 Ab To Mobile Ki is Qadar Aadat Hogayi hai ke Theek Karane Ke Liye Kisi ko Diya Jaye to Aisa Lagta Hai Ke Koi Chahne Wala Aspatal Mein Hai 😊

●◗► Jamhuriyat ka Mask Pahen kar ki Jane Wali is Nasal Kashi Par Khamosh Rehene Wala Har koi is Qatle Aam ka Barabar Hissa Daar hai.

Muslim Dunya ka Wahid Leader Jo Burma ke Mazalim Par Rohingya Musalmanon ka Bhar poor Sath De raha hai aur Burma ke Naam Nihad Jamhuriyat ko Dunya ke Samne Be Niqab kar Raha hai.

●◗► Allah Ta’ala Turkey Sadar Rajab Tayyib Erdogan ko Isteqamat Ata Farmaye. Aameen.

🍂 Aik Din Ham Sab Aik Doosre Ko Ye Sonch Kar Kho Denge Ke Jab Wo Yaad Nahin Karta To Main Use Kyun Yaad Karun 🍂

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar Ki Janib Se Tamam Musalmanon Ko Eid Al-Adha Mubarak Ho
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

●◗► Aye Allah! Hamari Qurbani aur Hajje Baitullah Samait Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Deene Mateen Par Qurban Ho Jane ka "Jazba Ibrahimi" Ata Farmade. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ

 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

●◗► "Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!"

✦.....► Qasayi ko Khaal Ya Gosht Ujrat Mein Na Den ◄.....✦

'All (Allah be pleased with him) reperted: Allah's Messenger (ﷺ) put me in charge of his sacrificial animals, that I should give their flesh. skins and saddle cloths as sadaqa, but not to give anything to the butcher, saying: We would pay him ourselves.

[ Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3019, 1317]

Urdu Translation: Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAlalh ﷺ ne Mujhe Hukum diya ke Main Aap ﷺ ke Qurbani ke Oonton ki Nigrani karun aur (Qurbani ke Baad) un ke Gosht, Khaal aur Jhol (Kajawah, Janwar ka Kapda Wagherah sab) Sadaqah kardun aur in Cheezon mein se koi Cheez bhi Qasayi ko Ujrat mein Na dun, aur Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ham Qasayi ko Apne Paas se Koi aur Cheez (Bator Ujrat) Dedenge.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3180, 3241]

✦.....♥ Eid  Al-Adha Ka Pehla Din, Phir Dusra Din ♥.....✦

Narrated Abdullah ibn Qurt RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said: The greatest day in Allah's sight is the day of sacrifice and next the day of resting which Isa said on the authority of Thawr is the second day.

[Sunan Abi Dawud :: Book 10 :: Hadith 1761, 1765]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Qurt RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Kareem  ﷺ ne Irshad Farmaya: “Allah Rabbul Izzat ke Nazdeek Dinon Mein Sab se Ahem Din Qurbani ka (Pehla) Din aur Us ke Baad Qurbani ka Doosra Din hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 2, 1765]

✦.......♥ Eid Al-Adha ke Aadaab ♥.......✦

❶ Subah Sawere Uthna.
❷ Miswak karna.
❸ Ghusul karna.
❹ Shari’at ke dayere mein Rahte hue Apni Aarayesh karna.
❺ Umdah se Umdah kapde jo Paas Maujood ho Pahenna.
❻ Khushbo lagana.
❼ Surma lagana.
❽ Eid ki Namaz se Pehle kuch na khana.
❾ Jald az Jald Eidgah pahochna.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar Padhna.
⓫ Eidgah paidal jana.
⓬ Eidgah se wapsi par Dusra Raasta Ekhtiyar karna.
⓭ Eidgah jate Waqt aur Wahan se wapsi par Raaste mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Ba’aawaze buland padhna.

⓮ Qurbani ke Mubarak Gosht se khane ki Ibteda karna.

✦....♥ Qurbani Ka Gosht Istemal Karne Ki Muddat! ♥.....✦

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Aik Martaba Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Hamare Yahan (taweel) Safar se Wapas Aaye, Ham ne Unhen Qurbani ka Gosht Pesh kiya to Unhon ne Farmaya ke Main Jab tak Nabi Akram se is ke Mutalliq khud na Puch lun, Ise Nahin Khaunga, Chunanche Unhon ne Aap se is ke Mutalliq pucha to Aap ne Irshad Farmaya: “Aik Dhul Hijjah se Dusre Dhul Hijjah tak Qurbani ka Gosht Kha Sakte ho. (Yani Pura Saal ise Istemal Mein Laya Ja Sakta hai).

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 25259]

 عن عائشة قدم علينا على من سفر فقدمنا إليه منه فقال لا آكله حتى أسأل عنه رسول الله صلى الله عليه و سلم قالت فسأله علي فقال رسول الله صلى الله عليه و سلم كلوه من ذي الحجة إلى ذي الحجة (مسند امام احمد بن حنبل : 25259 ،حدیث حسن)

✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Dusra Din (9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj ka Din Ayyam Hajj ka Sab se Ahem aur Masroof Tareen Din hai, Aaj Subah Talbiya Padhte hue Hujjaj Karam Mina se Arafat ke Liye Rawana ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal ke Baad Hajj ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada karenge, is Dauran Zohar aur Asr ki Namazen ikatthi Ada ki Jayengi, Namazon ke Alawah Ghuroob Aaftab tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh ho kar Khoob Aahwazari aur Duayen Mangenge aur Ghuroob Aftab ke Baad Talbiya Padhte hue “Muzdalifah”  ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahoch kar Maghrib aur Isha ki Namazen Isha ke Waqt mein Ikatthi Ada Karenge aur Aaj ki Raat Muzdalifah mein Guzarenge, Muzdalifah mein Namaze Fajr Awwal Waqt mein Ada kar ke Qibla Rukh ho kar Duaon aur Zikr o Azkar mein Mashghool Ho Jayenge, is Aml ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha ke Mutabiq Hujjaj Karam ko Manasike Hajj Ada karne ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)

✦...♥ Baroz Jumah 01-09-2017, Arafah Ka Rozah ♥...✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3 :: Hadith 749, 749]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala ki Zaat Par Pokhta Yaqeen hai ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) ke Roze ke Badle Guzishta Saal aur Aayindah Sal ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

 [Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 727, 749]

●◗► Tamaam Musalman Rozah Rakh kar Ummat Muslimah ke liye Khususi Duaon ka Ehtemaam Karen.

✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Pehla Din (8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Lakhon Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha aur 9 Dhul Hijjah ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj ki Raat Mina mein Guzarna Hajj ki Sunnat hai, Lehaza Agar kisi Wajah se Mina Pahochne mein Kuch Takheer Ho jaye ya Mina na Pahoch Saken to Hujjaje Karam Par koi Dum Wagerah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa karna Munasib Nahin, Kyun ke Sunnat Chhodne Se Hajj ka Sawab Kam Ho jata hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazamine  Hajj Ko Apne Hifz o Aman mein Rakhe. (Aameen)

🍃 Jab Kisi Ke Liye Aap ka 'Hona na Hona' Barabar ho to Usko 'Apne Hone' ka Baar Baar Shiddat Se Ehsas Dilate Rehna Be’mayene hai, Rabte itne hi Rakho Jitne Takleef na Den 🍃

✦.........✔ TAKBEERATE TASHREEQ ✔.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) ke Din Namaz Fajr se Ayyam Tashreeq ke Aakhri din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr tak Takbeere Tashreeq Padhte the."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah (01/Sep/2017) ki Namaze Fajr se 13 Dhul Hijjah (05/Sep/2017) ki Namaze Asr tak har Farz Namaz ke Baad ba Jama’at ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz se Aur Aurat Par aik Martaba Aahista Aawaz se ye Takbeer Padhna Wajib hai.

💖 Hamesha Apne Jalne Walon Se Pyaar Karo Kyun Ki Wahi Hain Jo Sonchte Hain Ki Aap Un Se Behtar Ho 💖

✦......► Mauzi Janwaron Ko Maar Dene Ka Hukum ◄.......✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (ﷺ) said, "Five kinds of animals are mischief-doers and can be killed even in the Sanctuary: They are the rat the scorpion, the kite, the crow and the rabid dog." (Sahih al-Bukhari :: Vol. 4, Book 54, Hadith 531, 3314)

It was narrated from Umm Sharik RadiyAllahu Anha that the Prophet (ﷺ) told her to kill house lizards.” (Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 28 :: Hadith 3228)

The Prophet (ﷺ) said: Kill all the snakes.” (Sunan Abi Dawood: 5248)

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “5 Mauzi Janwar hain, Unhen Hudoode Haram mein bhi Mara Ja Sakta hai (To Hudoode Haram ke Alawah Batareeq Aaula un ka Marna Jayez Hoga):

❶ Chuha
❷ Bicchu
❸ Cheel
❹ Kawwa
❺ Aur Kaat Lene Wala Kutta. (Sahih Bukhari: 3314)

Hazrat Umm Sharik RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Unhen ❻ Chipkaliyan Marne ka Hukum Diya. (Sunan Ibn Majah: Vol. 3 :: 109, 3228)

❼ RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Har Qism ke Sanpon ko (Jahan, Jis Waqt Pao) Qatal kiya karo.” (Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: 1806, 5248)

✦......► Burqa aur Parde Mein Garmi Ka Ehsas! ◄.......✦

●◗► Be Pardagi ki Thandak Se Parde aur Burqa ki Garmi Bahot Behtar hai, Kyun ke Be Pardagi o Be Hayayi, Qabr Ki Shadeed Garmi ka Ba’is hai aur Burqa o Parde ki Aarzi Garmi, Qabr ko Thanda karne ka Sabab hai.

✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah  ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud aur Duayen
❹ Rozah -  (Pehle Ashre ke 9 din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaum Arafah ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 ki Fajr ta 13 ki Asr Tak)
 اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)