Monday 29 January 2018

✦........♥ Sharm O Haya Ki Diwaren! ♥........✦

“Dada Ji Kehte Hain ke Hamare Daur Mein Gharon ki Diwaren Nahin hoti Thi, Agar thi bhi to Bahot Choti!!!”

Us Zamane ke Waldain Bacchon ki Tarbiyat aisi karte the ke Dilon mein Sharm o Haya ki Aisi Diwar Banti thi Jise koi Uboor Nahin kar sakta tha, Aaj Logon ne Gharon ki Diwaren to Unchi karlin Lekin Aulad ke Dilon mein Sharm o Haya ki Diwaar Banane mein Nakaam Rahe, Natija ye nikla ke Diwaren unchi Hone ke Bawajood bhi Ghar, Chadar aur Char Diwari ka Taqaddus Mahfooz Nahin Raha.

Allah Bacchon ki Durust Tarbiyat Karne ki Hamen Toufeeq Naseeb Farmaye!

✦…......♥ Maa ke Baad Khala Ka Moqam ♥…......✦

Narrated from Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu: A man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: "O Messenger of Allah! I have been afflicted by a tremendous sin. Is there any repentance for me?"

He (ﷺ) said: "Do you have your mother?" The man said: "No."
He (ﷺ) said: "Do you have any maternal aunts?" The man said: "Yes."
He (ﷺ) said: "Then be dutiful to them."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 1904]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke Aik Shaks RasoolAllah ﷺ ki khidmat mein hazir hua aur Arz kiya: "Ya RasoolAllah ﷺ! Main ne Aik bahot bada Gunah kiya hai, Kya meri Toba Qubool ho sakti hai?

Aap ﷺ ne Pucha: Tumhari Maa Zindah Hain? Us ne Arz kiya: Maa to Zindah Nahin.
Aap ﷺ ne Farmaya: To kya Tumhari koi Khala hai? Us ne Arz kiya: Ji han Khala Maujood Hain.
Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: "Khala ki Khidmat aur Un ke Sath Accha Sulook karo (is ki Wajah se Tumhari Tauba Qubool Ho Jayegi)."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1966, 1904]

🌸 Yaad Wo Nahin Jo Tanhayi Mein Aaye Balke Yaad To Wo Hai Jo Mehfil Mein Aaye Aur Tanha Kar Jaye 🌸

✦..........► Aitidal Se Kharch Karen! ◄..........✦

⇨ "And let not your hand be tied (like a miser) to your neck, nor stretch it forth to its utmost reach (like a spendthrift), so that you become blameworthy and in severe poverty.” (Al-Quran, Surah Bani Israel: 29)

⇨ Irshade Khudawandi Hai: “Aur Na to Aise Kanjoos Bano ke Apne Hath ko Gardan se Baandh kar Rakho aur Na Aise Fuzool Kharch ke Hath ko Bilkul hi Khula Chhod do, Jis ke Natije mein Tumhe Qabile Malamat aur Qalash ho kar Baithna Pade.”  (Al-Quran, Surah Bani Israel: 29)

Qalash – Ghareeb, Kangaal.

❤️ Allah Ki Di Hui Nematon Mein Sab Se Azeem Nemat Beti Hai ❤️

✦..........► Jhoot Ki Nahoosat ◄..........✦

Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu Narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "When the slave (of Allah) lies, the angel goes a mile away from him because of the stench of what he has done."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1972]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya: “Jab Koi Jhoot Bolta Hai to Jhoot ki Badboo Ki Waja se (Rehmat ka) Farishta Aik Meel Door Chala Jata hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2037, 1972]

💖 Khush Qismat Hai Wo Log Jo Dusron Ke Aansuon Ko Muskurahat Mein Tabdeel Karne Ka Fun Jante Hain 💖

✦.......♥  Nazre Bad Ke Bajaye Nazre Khair! ♥.......✦

Kitni Ba Barkat Aankh hai Jo kisi ki Acchi Cheez Dekh kar Hasad karne aur Nazar Lagane ke Bajaye ye Kahe:

'MashaAllah La Quwwata illa Billah', 'MashaAllah TabarakAllah'

 Aur Phir Dil ki Gahrayyon se ye Dua bhi Kare: “Allah Ta’ala Aap ki is Nemat Mein Barkat Ata Farmayen Aur Aap ko Mazeed Nematon se Nawazen.” (Aameen)

✦........♥ Gaye Ke Doodh Ke Fawayed! ♥........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Treat yourselves with the milk of cows, I hope that Allah (may He be exulted) will make it a cure for every disease, because the cows eat from all sorts of plants.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Gaye ka Doodh Istemal Kiya Karo! Kyun ke Wo Har Qism ke Darakhton aur Paodon se Charti hai Jis ke Baa’is us ke Doodh mein Shifa hai.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 8224] [Recorded by al-hakim and at-Tabarani (in Kabir).  Verified to be hasan by al-Albani, Sahih ul-Jami no. 2929 and as-Sahihah no 1943]

✦.......► Bete Aur Betiyon Ki Taqseem ◄......✦
✦........♥ Mashiyate Ilahi Ka Mazhar ♥........✦

“Sare Aasmanon Aur Zameen ki Saltanat Allah hi ki hai, Wo Jo Chahta hai Paida Karta hai,

● Wo Jis ko Chahta hai Ladkiyan Deta hai,
● Aur Jis ko Chahta hai Ladke Deta hai,
● Ya Phir Un ko Mila Jula kar Ladke bhi Deta hai aur Ladkiyan bhi,
● Aur Jis ko Chahta hai Baanjh bana Deta hai,
Yaqeenan wo Ilm ka Malik bhi hai aur Qudrat ka Malik bhi.”

(Al-Quran, Ash-Shuraa: 49, 50)

●════════════════◄►═══════════════●

⇨ "To Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He creates what he wills. He gives to whom He wills female [children], and He gives to whom He wills males. Or He makes them [both] males and females, and He renders whom He wills barren. Indeed, He is Knowing and Competent.” (Al-Quran, Ash-Shuraa: 49, 50)

🌸 Har Shaks Ko is Qabil Hona Chahiye ke Apne Walid Ka Janazah Khud Padhaye, Jo Dua Baap ke Liye Bete ke Dil se Nikle gi Wo Kisi Aur Ke Dil Se Nahin Nikal Sakti 🌸

❤️ Chehra Jaisa Bhi Ho Dil Haseen Hona Chahiye ❤️

✦.....► Sadma Pahochne Ke Fauran Baad Sabr! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said, "The real patience is at the first stroke of a calamity."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 389, 1302]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sabr to Wahi hai Jo Sadma ke Shuru Mein Kiya Jaye.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1302]

●◗► Kisi Na Gahaani Aafat ya Afsos Naak Waqiye ke Fauran Baad ya kisi ki Maut Wagherah ki khabar Sunte hi Shor Sharaba, Sina kobi aur Noha khuani se Bachte hue Allah ke Faisle Par Razi raha Jaye, Sawab ki Ummid Rakhi Jaye aur Sabr kiya Jaye, Yahi Asal Sabr hai, Warna kuch Waqt guzarne ke Baad to Ranj o Gham ke Asraat khud ba khud Zayel ho Jate hain aur Tabyi taur Par Sabr Aahi Jata hai.

💖 Rabte Bata Dete Hain Ke Dil Mein Kitni Qadr Hai, Kehne Ko To Sabhi Apne Hote Hain 💖

●◗► Ambulance Mein Mareez ho ya Ambulance Khali ho Use Har Surat mein Raasta dena Chahiye, Ambulance ya to Kisi Mareez ko lekar Ja Rahi hogi Ya kisi Mareez aur Zakhmi ko Lene Ja rahi hogi, Insani Jaan Bachane mein Apna Kirdar Ada Karen!

💖 Main Har Kisi Ke Liye Khud Ko Accha Sabit Nahin Karta, Main Un Ke Liye Anmol Hun Jo Mujhe Samajhte Hain 💖

✦..► Azdwaji Zindagi Par “Smart Phone” Ke Muzar Asrat! ◄..✦

●◗► Miyan Biwi ko Ghar Mein Mobile Phone istemal Karne ka Aik Makhsoos Waqt Mutayyan kar lena Chahiye ke Jis ke Baad Donon Mobile Phone ya koi Social Media App Istemal na Karen.

Yaad Rakhen! Social Life se Zyadah Zaroori Aap ki “Azdwaji Zindagi” hai Jise Bahot sa Waqt dene ki Zarurat hai, Agar Sari Dunya se Rabta ho Magar Paas Baithe bhi “Door” hon to Kis Qadar Dukh ki Baat hai.

🌸 Aap Jitna Zyadah Waqt Quran Ki Tilawat Mein Kharch Karenge Aap Ke Waqt Mein Itni Hi Barkat Hogi, Aazmayesh Shart Hai, Aaj Hi Aazmakar Dekhen 🌸

✦...► Qabr Ko Pukhta Karna Aur Us Par Imarat Banana! ◄...✦

Jabir said RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) forbade that the graves should be plastered or they be used as sitting places (for the people), or a building should be built over them."

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 2116, 970]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anh Farmate hain ke RasoolAllah (ﷺ) ne Qabron ko Pukhta Banane, Un par Baithne aur Un Par Imarat Banane se Mana Farmaya.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2245, 2289]

✦........♥ Shareeke Hayat Ki Tareef! ♥........✦

Ahliya kisi Baat par Naraz thi…Khawind ne Narazgi Door karne ke Liye Kaha:

“Tum Dunya Ki Doosri Behtareen Aourat Ho.”

Ahliya ne Fauran Karkh Lehje Mein Sawaal kiya: To Pehli kon hai??? Khawind ne Jawab diya: “Tum, Magar Jab Muskurao.”

Ye Sun kar Narazgi ke Aasaar Khatam aur Ahliya ke Chehre Pe Muskurahat Phail Gayi. ♥

💖 Aik Mard Jab Baap ka Darja Paata Hai to Dus Guna Zyadah Wafa Karne Wala, Mohabbat Karne Wala Aur Khayal Karne Wala Insan Ban Jata Hai 💖

✦......► Betiyon ki Hifazat Ka Sirf Aik Raasta! ◄......✦

●◗► Maal o Jaan ka Tahaffuz aur Sab se badh kar ye ke Bahen Betiyon ki izzat o Paakdamni ka Tahaffuz usi surat mein ho Sakta hai ke Mulk mein Islami Hudood, Qisas aur Sazaon ko Naik Niyyati ke sath Nafiz kiya jaye, Aankh ke badle Aankh, Kaan ke badle Kaan, Naak ke Badle Naak aur Jaan ke badle Jaan ka Munsifana Qurani Faisle par har Qism ke Tabqati Imtiyazat se Baala tar ho kar Aml dar Aamad shuru kar diya jaye, Sharab khane band aur Sharabiyon ko Sare Aam kode mare Jayen, Zina ke Addon ko Masmar aur Zaniyon ko kode Lagaye jayen ya Unhen Sangsaar kiya jaye, Fahashi o Uryani Phailane walon ko Sare Aam sakht Tareen Sazayen di jayen, Choron ke hath kate jayen, Dakuon ke hath Pair kaat kar unhen Nishane ibrat Banaya Jaye….Aur jo log Darje bala Islami aur Qurani sazaon ki Raah mein Rukawat banen unhen Pyar o Mohabbat se Samjhaya jaye aur Hat dharmi ka Muzaherah karne Walon ke Sath Sakhti se Nimta Jaye.



💖 Dua Ki Qubuliyat Aawaz Ki Bulandi Nahin Balke Dil ki Tadap Ka Taqaza Karti hai, Kyun Ke Dua Sirf Alfaz ka Majmua Nahin, Rooh Ki Talab Aur Kaifiyat Ka Naam Hai 💖

🌸 Aurat Kitni Bhi Bahadur Ho Kitna Bhi Zabt Karna Janti Ho Magar Wo Aik Nigah Aisi Zaroor Chahti Hai Jo Dekhte Hi Jaan Le ke Aankhen Thakan Se Laal hai Ya Zabt Se 🌸

✦.......► Sare Aam Gunah Karne Ka Wabal ◄.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people).

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 95, 6069]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Maine RasoolAllah (ﷺ) ko ye Farmate hue Suna: “Meri Poori Ummat Muaaf Kar di Jayegi Lekin Khullam Khulla Gunah Karne Walon Ko Muaaf Nahin Kiya Jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6069]

No comments:

Post a Comment